apni dariya-dili KHarab na ki
apnī dariyā-dilī ḳharāb na kī
dasht se dostī ḳharāb na kī
nazar aane kā hausla na kiyā
maiñ ne vo raushnī ḳharāb na kī
ḳhud ko dekhā na aa.ine meñ kabhī
apnī hālat kabhī ḳharāb na kī
dost ahbāb ho ga.e dushman
aur phir dushmanī ḳharāb na kī
bazm-ārā.iyoñ se baaz rahe
dil kī be-raunaqī ḳharāb na kī
maiñ bhī bas dekhtā rahā us ko
us ne bhī bebasī ḳharāb na kī
apni dariya-dili KHarab na ki
dasht se dosti KHarab na ki
nazar aane ka hausla na kiya
main ne wo raushni KHarab na ki
KHud ko dekha na aaine mein kabhi
apni haalat kabhi KHarab na ki
dost ahbab ho gae dushman
aur phir dushmani KHarab na ki
bazm-araiyon se baz rahe
dil ki be-raunaqi KHarab na ki
main bhi bas dekhta raha us ko
us ne bhi bebasi KHarab na ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.