apni dhun mein hi jo chup-chap guzar jata hun
apnī dhun meñ hī jo chup-chāp guzar jaatā huuñ
tum samajhte ho baḌe shauq se ghar jaatā huuñ
le ke chal paḌtā hai mujh ko jo ḳhayālāt kā rath
jab tire shahr meñ pahuñche maiñ utar jaatā huuñ
apne hī dard kī uñglī se lagā rahne de
maiñ ġham-e-dahr kī is bhiiḌ se Dar jaatā huuñ
koī kis tarah mire jism meñ aa jaatā hai
maiñ badan chhoḌ ke apnā ye kidhar jaatā huuñ
tum samajhte ho ki ghar lauT gayā hai 'azmī'
maiñ to har shab tirī dahlīz pe mar jaatā huuñ
apni dhun mein hi jo chup-chap guzar jata hun
tum samajhte ho baDe shauq se ghar jata hun
le ke chal paDta hai mujh ko jo KHayalat ka rath
jab tere shahr mein pahunche main utar jata hun
apne hi dard ki ungli se laga rahne de
main gham-e-dahr ki is bhiD se Dar jata hun
koi kis tarah mere jism mein aa jata hai
main badan chhoD ke apna ye kidhar jata hun
tum samajhte ho ki ghar lauT gaya hai 'azmi'
main to har shab teri dahliz pe mar jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.