apni duniya sanwar lete hain
apnī duniyā sañvār lete haiñ
aap ko jo nihār lete haiñ
ḳhud ko karte haiñ mubtalā dukh meñ
aur ḳhud ko pukār lete haiñ
log ḳhud ko tabāh karne ko
mujh se vahshat udhār lete haiñ
kaifiyat meñ tujhe pahante haiñ
aur ḳhud ko utaar lete haiñ
us ke bin raat to qayāmat hai
haañ magar din guzār lete haiñ
aa ki ab ḳhatm kar deñ ye rishta
apnī ġhaltī sudhār lete haiñ
apni duniya sanwar lete hain
aap ko jo nihaar lete hain
KHud ko karte hain mubtala dukh mein
aur KHud ko pukar lete hain
log KHud ko tabah karne ko
mujh se wahshat udhaar lete hain
kaifiyat mein tujhe pahante hain
aur KHud ko utar lete hain
us ke bin raat to qayamat hai
han magar din guzar lete hain
aa ki ab KHatm kar den ye rishta
apni ghalti sudhaar lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.