apni ghalati aasani se kaun jahan mein mane hai
apnī ġhalatī āsānī se kaun jahāñ meñ maane hai
sachchā.ī kī baat karo to duniyā patthar taane hai
chiknī-chupḌī bātoñ se tum chhoḌ do ham ko bharmānā
chaal tumhārī dil ye hamārā achchhe se pahchāne hai
fikr hamāre sambandhoñ kī chhoḌo jag vaalo karnā
biich hamāre rishta kyā hai maiñ jānūñ vo jaane hai
mandir masjid ke jhagḌe meñ shaam sahar kyoñ uljhe ho
khel siyāsī hai ye jo ḳhud raam rahīm na maane hai
rab to har dil meñ bastā hai us ko paane kī ḳhātir
galiyoñ galiyoñ kī tū 'hīrā' ḳhaak bhalā kyoñ chhāne hai
apni ghalati aasani se kaun jahan mein mane hai
sachchai ki baat karo to duniya patthar tane hai
chikni-chupDi baaton se tum chhoD do hum ko bharmana
chaal tumhaari dil ye hamara achchhe se pahchane hai
fikr hamare sambandhon ki chhoDo jag walo karna
bich hamare rishta kya hai main jaanun wo jaane hai
mandir masjid ke jhagDe mein sham sahar kyon uljhe ho
khel siyasi hai ye jo KHud ram rahim na mane hai
rab to har dil mein basta hai us ko pane ki KHatir
galiyon galiyon ki tu 'hira' KHak bhala kyon chhane hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.