apni ghazal ko KHun ka sailab le gaya
apnī ġhazal ko ḳhuun kā sailāb le gayā
āñkheñ rahīñ khulī kī khulī ḳhvāb le gayā
shab-zinda-dār log añdheroñ se Dar ga.e
sub.h-e-azal se kaun tab-o-tāb le gayā
uryāñ hai merī laash haqīqat kī dhuup meñ
vo apne saath yādoñ kā barfāb le gayā
aayā mare qarīb gul-e-sīm-tan kī tarah
saarā sukūn sūrat-e-sīmāb le gayā
mujh ko supurd-e-tishnagī-e-rūh kar gayā
vo apne saath bazm-e-mai-e-nāb le gayā
apni ghazal ko KHun ka sailab le gaya
aankhen rahin khuli ki khuli KHwab le gaya
shab-zinda-dar log andheron se Dar gae
subh-e-azal se kaun tab-o-tab le gaya
uryan hai meri lash haqiqat ki dhup mein
wo apne sath yaadon ka barfab le gaya
aaya mare qarib gul-e-sim-tan ki tarah
sara sukun surat-e-simab le gaya
mujh ko supurd-e-tishnagi-e-ruh kar gaya
wo apne sath bazm-e-mai-e-nab le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.