apni har waza har ek Dhang badalne ke liye
apnī har vaz.a har ik Dhang badalne ke liye
kaun aa.egā mire sang badalne ke liye
sab ke lahje meñ vo tabdīliyāñ aa.ī haiñ ki aaj
maiñ bhī majbūr huuñ āhang badalne ke liye
chhoḌ kar jī nahīñ pā.ūñgā maiñ apnī buniyād
kyoñ kare koī mujhe tang badalne ke liye
zikr kyoñ aatā hai us kā mire ahbāb ke saath
jo hai mash.hūr faqat rang badalne ke liye
chand lafzoñ kā asāsa bhī nahīñ jis ke paas
vo bhī āmāda hai farhang badalne ke liye
haath meñ jin ke tarāzū hai nahīñ haiñ tayyār
kisī qīmat pe bhī pāsang badalne ke liye
apnī har chiiz badal bhī nahīñ saktī 'shāhid'
laakh maiñ ḳhud se karūñ jang badalne ke liye
apni har waza har ek Dhang badalne ke liye
kaun aaega mere sang badalne ke liye
sab ke lahje mein wo tabdiliyan aai hain ki aaj
main bhi majbur hun aahang badalne ke liye
chhoD kar ji nahin paunga main apni buniyaad
kyon kare koi mujhe tang badalne ke liye
zikr kyon aata hai us ka mere ahbab ke sath
jo hai mashhur faqat rang badalne ke liye
chand lafzon ka asasa bhi nahin jis ke pas
wo bhi aamada hai farhang badalne ke liye
hath mein jin ke taraazu hai nahin hain tayyar
kisi qimat pe bhi pasang badalne ke liye
apni har chiz badal bhi nahin sakti 'shahid'
lakh main KHud se karun jang badalne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.