apni hasti ko jo mismar nahin kar sakta
apnī hastī ko jo mismār nahīñ kar saktā
vo ḳhudā kā kabhī dīdār nahīñ kar saktā
maiñ nahīñ chāhtā ġham merā 'ayāñ ho tujh par
apne chehre ko maiñ aḳhbār nahīñ kar saktā
kaam ik aah faqīroñ kī jo kar saktī hai
shaah kyā shaah kā darbār nahīñ kar saktā
tū zabānoñ pe lagā saktā hai pahrā lekin
haañ ḳhayāloñ ko giraftār nahīñ kar saktā
apni hasti ko jo mismar nahin kar sakta
wo KHuda ka kabhi didar nahin kar sakta
main nahin chahta gham mera 'ayan ho tujh par
apne chehre ko main aKHbar nahin kar sakta
kaam ek aah faqiron ki jo kar sakti hai
shah kya shah ka darbar nahin kar sakta
tu zabanon pe laga sakta hai pahra lekin
han KHayalon ko giraftar nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.