apni izzat ka kuchh KHayal rakho
apnī 'izzat kā kuchh ḳhayāl rakho
ye baḌī shai ise sañbhāl rakho
lāzmī hai ki ziist meñ ho rang
maut kā bhī to kuchh ḳhayāl rakho
bhuuk kyā hai kabhī pata na chale
muñh meñ luqma agar halāl rakho
ye paḌosī bhī kaam ā.eñge
in se rishta sadā bahāl rakho
ek din ḳhud hunar bhī nikhregā
kuchh to hāthoñ meñ tum kamāl rakho
laao dariyā-e-fan se kuchh motī
sāmne ḳhalq ke misāl rakho
fikr logoñ kī kab talak 'ahmad'
apnā bhī tum zarā ḳhayāl rakho
apni 'izzat ka kuchh KHayal rakho
ye baDi shai ise sanbhaal rakho
lazmi hai ki zist mein ho rang
maut ka bhi to kuchh KHayal rakho
bhuk kya hai kabhi pata na chale
munh mein luqma agar halal rakho
ye paDosi bhi kaam aaenge
in se rishta sada bahaal rakho
ek din KHud hunar bhi nikhrega
kuchh to hathon mein tum kamal rakho
lao dariya-e-fan se kuchh moti
samne KHalq ke misal rakho
fikr logon ki kab talak 'ahmad'
apna bhi tum zara KHayal rakho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.