apni KHudi ko tum sar-e-bazar bech kar
apnī ḳhudī ko tum sar-e-bāzār bech kar
zinda ho kaise daulat-e-kirdār bech kar
yārab ye kyā 'azāb hai nasl-e-jadīd par
kartī hai aish purkhoñ kī dastār bech kar
hāsil kī us ke beTe ne kursī mudīr kī
itnā paḌhāyā baap ne aḳhbār bech kar
us bad-nasīb baap kī majbūriyāñ na pūchh
ḳhushiyāñ ḳharīdtā hai jo ghar-bār bech kar
mahñgī bahut paḌī mujhe sūraj kī dostī
pachhtā rahā huuñ sāya-e-dīvār bech kar
jin ko shu’ūr-e-bandagī kartā hai rab 'atā
jangal ḳharīd lete haiñ ghar-bār bech kar
'ālam' isī tarah se jo ham muntashir rahe
khā jā.eñge vatan ko ye ġhaddār bech kar
apni KHudi ko tum sar-e-bazar bech kar
zinda ho kaise daulat-e-kirdar bech kar
yarab ye kya 'azab hai nasl-e-jadid par
karti hai aish purkhon ki dastar bech kar
hasil ki us ke beTe ne kursi mudir ki
itna paDhaya bap ne aKHbar bech kar
us bad-nasib bap ki majburiyan na puchh
KHushiyan KHaridta hai jo ghar-bar bech kar
mahngi bahut paDi mujhe suraj ki dosti
pachhta raha hun saya-e-diwar bech kar
jin ko shu’ur-e-bandagi karta hai rab 'ata
jangal KHarid lete hain ghar-bar bech kar
'alam' isi tarah se jo hum muntashir rahe
kha jaenge watan ko ye ghaddar bech kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.