apni KHush-fahmi ko idrak samajhne wale
apnī ḳhush-fahmī ko idrāk samajhne vaale
ḳhaak samjheñge mujhe ḳhaak samajhne vaale
ik zarā tez havā se ye garebān khulā
Dar ga.e ḳhud meñ ise chaak samajhne vaale
jaane un ko mire andar kī ḳhabar kaise huī
Thiik samjhe mujhe saffāk samajhne vaale
mere andar se mirā juft numūdār huā
aur shashdar haiñ mujhe taak samajhne vaale
ḳhaak tujh fikr kī tarsīl pe sahrāoñ kī
dīda-e-gul ko bhī namnāk samajhne vaale
maiñ tire jaisā ḳhudā hone se mahfūz rahā
dāġh-e-‘isyāñ se mujhe paak samajhne vaale
dasht-dar-dasht bhaTakte hue dekhe 'tāhir'
ḳhud ko is dahr meñ chālāk samajhne vaale
apni KHush-fahmi ko idrak samajhne wale
KHak samjhenge mujhe KHak samajhne wale
ek zara tez hawa se ye gareban khula
Dar gae KHud mein ise chaak samajhne wale
jaane un ko mere andar ki KHabar kaise hui
Thik samjhe mujhe saffak samajhne wale
mere andar se mera juft numudar hua
aur shashdar hain mujhe tak samajhne wale
KHak tujh fikr ki tarsil pe sahraon ki
dida-e-gul ko bhi namnak samajhne wale
main tere jaisa KHuda hone se mahfuz raha
dagh-e-‘isyan se mujhe pak samajhne wale
dasht-dar-dasht bhaTakte hue dekhe 'tahir'
KHud ko is dahr mein chaalak samajhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.