apni KHwahish ke agar pankh kutarte bante
apnī ḳhvāhish ke agar pañkh kutarte bante
dasht-o-sahrā meñ bhī hamvār ye raste bante
us dil-e-shoḳh kī bas ek nazar hai kaafī
der lagtī nahīñ ehsās ke rishte bante
ā.ina-ḳhāne hī logoñ kā bharam rakhte haiñ
varna har lamhe to chehre na badalte bante
koī to hai jo harāne pe tulā hai mujh ko
baat yūñhī to nahīñ bigḌe hai bante bante
tā-kujā dil ko tasallī pe tasallī dete
tā-kujā rāh-e-tamannā se na chalte bante
garche hotī na mirī ziist kī mub.ham ye kitāb
zindagī sab tire aurāq ye paḌhte bante
sabr kī maat jo hotī to ye hotā 'ārif'
dil ke armān sar-e-rāh kuchalte bante
apni KHwahish ke agar pankh kutarte bante
dasht-o-sahra mein bhi hamwar ye raste bante
us dil-e-shoKH ki bas ek nazar hai kafi
der lagti nahin ehsas ke rishte bante
aaina-KHane hi logon ka bharam rakhte hain
warna har lamhe to chehre na badalte bante
koi to hai jo harane pe tula hai mujh ko
baat yunhi to nahin bigDe hai bante bante
ta-kuja dil ko tasalli pe tasalli dete
ta-kuja rah-e-tamanna se na chalte bante
garche hoti na meri zist ki mubham ye kitab
zindagi sab tere auraq ye paDhte bante
sabr ki mat jo hoti to ye hota 'arif'
dil ke arman sar-e-rah kuchalte bante
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.