apni KHwahish mein jo bas gae hain wo diwar-o-dar chhoD den
apni KHwahish mein jo bas gae hain wo diwar-o-dar chhoD den
Kunwar Ejaz Raja
MORE BYKunwar Ejaz Raja
apnī ḳhvāhish meñ jo bas ga.e haiñ vo dīvār-o-dar chhoḌ deñ
dhuup āñkhoñ meñ chubhne lagī hai to kyā ham safar chhoḌ deñ
dast-bardār ho jaa.eñ fariyād se aur baġhāvat kareñ
kyā savālī tire qasr-e-insāf! zanjīr-e-dar chhoḌ deñ
jab luāb-e-dahan apnā tiryāq hai dast o baazū bhī haiñ
saañp galiyoñ meñ lahrā rahe haiñ to kyā ham nagar chhoḌ deñ
shahryāroñ se Dar jaa.eñ ham haq-parastī se tauba kareñ
apne andar bhī ik aadmī hai use ham kidhar chhoḌ deñ
ham ne dekhā hai dariyāoñ kā ruḳh kuñvar shahr kī samt hai
shahr vaale agar be-ḳhabar haiñ to kyā be-ḳhabar chhoḌ deñ
apni KHwahish mein jo bas gae hain wo diwar-o-dar chhoD den
dhup aankhon mein chubhne lagi hai to kya hum safar chhoD den
dast-bardar ho jaen fariyaad se aur baghawat karen
kya sawali tere qasr-e-insaf! zanjir-e-dar chhoD den
jab luab-e-dahan apna tiryaq hai dast o bazu bhi hain
sanp galiyon mein lahra rahe hain to kya hum nagar chhoD den
shahryaron se Dar jaen hum haq-parasti se tauba karen
apne andar bhi ek aadmi hai use hum kidhar chhoD den
hum ne dekha hai dariyaon ka ruKH kunwar shahr ki samt hai
shahr wale agar be-KHabar hain to kya be-KHabar chhoD den
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 22.10.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.