apni man ki duaen pata hun
apnī maañ kī duā.eñ paatā huuñ
is liye hī to muskurātā huuñ
pyaar kī bhuuk jab satātī hai
dostoñ se fareb khātā huuñ
ye bhī mere liye ibādat hai
rāstoñ meñ diye jalātā huuñ
log farhād mujh ko kahte haiñ
ghar meñ jab jū-e-shīr laatā huuñ
mujh ko patthar habīb lagtā hai
jab use hāl-e-dil sunātā huuñ
us se maiñ kuchh bhī le nahīñ saktā
jab vo kahtā hai le maiñ daatā huuñ
mere ġham mere bachchoñ jaise haiñ
maiñ jinheñ god meñ khilātā huuñ
vo hī jaḌvātā hai añgūThī meñ
jis kisī ko maiñ raas aatā huuñ
log samjhe ki ashk bahte haiñ
maiñ to āñkhoñ se giit gaatā huuñ
dūsre se nahīñ ġharaz mujh ko
maiñ to bas apne man ko bhātā huuñ
merī āñkheñ haiñ merī shāgirda
sharm karnā jinheñ sikhātā huuñ
lutf-e-parvāz lene kī ḳhātir
man ke 'panchhī' ko ḳhud uḌātā huuñ
apni man ki duaen pata hun
is liye hi to muskuraata hun
pyar ki bhuk jab satati hai
doston se fareb khata hun
ye bhi mere liye ibaadat hai
raston mein diye jalata hun
log farhad mujh ko kahte hain
ghar mein jab ju-e-shir lata hun
mujh ko patthar habib lagta hai
jab use haal-e-dil sunata hun
us se main kuchh bhi le nahin sakta
jab wo kahta hai le main data hun
mere gham mere bachchon jaise hain
main jinhen god mein khilata hun
wo hi jaDwata hai anguThi mein
jis kisi ko main ras aata hun
log samjhe ki ashk bahte hain
main to aankhon se git gata hun
dusre se nahin gharaz mujh ko
main to bas apne man ko bhata hun
meri aankhen hain meri shagirda
sharm karna jinhen sikhata hun
lutf-e-parwaz lene ki KHatir
man ke 'panchhi' ko KHud uData hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.