apni majburi batata raha ro kar mujhko
apnī majbūrī batātā rahā ro kar mujh ko
vo milā bhī to kisī aur kā ho kar mujh ko
maiñ ḳhudā to nahīñ jo us ko dikhā.ī na diyā
DhūñDhtā merā pujārī kabhī kho kar mujh ko
pā liyā jis ne tah-e-āb bhī apnā sāhil
mutma.in thā mirā tūfān Dubo kar mujh ko
reg-e-sāhil pe likhī vaqt kī tahrīr huuñ maiñ
mauj aa.e to chalī jā.egī dho kar mujh ko
niiñd hī jaise koī kunj-e-amāñ hai ab to
chain miltā hai bahut der se so kar mujh ko
fasl-e-gul ho to nikāle mujhe is barzaḳh se
bhuul jaa.e na tah-e-sañg vo bo kar mujh ko
apni majburi batata raha ro kar mujh ko
wo mila bhi to kisi aur ka ho kar mujh ko
main KHuda to nahin jo us ko dikhai na diya
DhunDhta mera pujari kabhi kho kar mujh ko
pa liya jis ne tah-e-ab bhi apna sahil
mutmain tha mera tufan Dubo kar mujh ko
reg-e-sahil pe likhi waqt ki tahrir hun main
mauj aae to chali jaegi dho kar mujh ko
nind hi jaise koi kunj-e-aman hai ab to
chain milta hai bahut der se so kar mujh ko
fasl-e-gul ho to nikale mujhe is barzaKH se
bhul jae na tah-e-sang wo bo kar mujh ko
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 553)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.