apni maKHmur nigahon mein chhupa lo mujhko
apnī maḳhmūr nigāhoñ meñ chhupā lo mujh ko
dil kī dahlīz pe chāho to biThā lo mujh ko
har taraf aaj chaman meñ hai ḳhizāñ kī yūrish
dāman-e-sub.h-e-bahārāñ meñ chhupā lo mujh ko
ye mire dil kī hai miTTī ise zaa.e.a na karo
tum se kahtī hai chalo jaam banā lo mujh ko
kabhī gauhar kabhī patthar jo banāyā tum ne
kab kahā maiñ ne ki har sāñche meñ Dhālo mujh ko
maiñ sar-e-rāh paḌā huuñ mujhe Thokar na lagāo
dur-e-nāyāb huuñ siine se lagā lo mujh ko
ishq meñ shauq-e-shahādat kī koī had hī nahīñ
har nafas kahtā hai maqtal meñ bulā lo mujh ko
isī ummīd pe maiñ baiTh gayā huuñ aa kar
rahrav-e-rāh-e-mohabbat huuñ uThā lo mujh ko
āḳhirī iltijā hai aap se sāñsoñ kī mirī
vaqt Dhalne ko hai ab apnā banā lo mujh ko
shab ke dāman meñ 'shafaq' yā to sajā lo mujh ko
sham-e-sozāñ kī tarah yā to jilā lo mujh ko
apni maKHmur nigahon mein chhupa lo mujh ko
dil ki dahliz pe chaho to biTha lo mujh ko
har taraf aaj chaman mein hai KHizan ki yurish
daman-e-subh-e-bahaaran mein chhupa lo mujh ko
ye mere dil ki hai miTTi ise zaea na karo
tum se kahti hai chalo jam bana lo mujh ko
kabhi gauhar kabhi patthar jo banaya tum ne
kab kaha main ne ki har sanche mein Dhaalo mujh ko
main sar-e-rah paDa hun mujhe Thokar na lagao
dur-e-nayab hun sine se laga lo mujh ko
ishq mein shauq-e-shahadat ki koi had hi nahin
har nafas kahta hai maqtal mein bula lo mujh ko
isi ummid pe main baiTh gaya hun aa kar
rahraw-e-rah-e-mohabbat hun uTha lo mujh ko
aaKHiri iltija hai aap se sanson ki meri
waqt Dhalne ko hai ab apna bana lo mujh ko
shab ke daman mein 'shafaq' ya to saja lo mujh ko
sham-e-sozan ki tarah ya to jila lo mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.