apni miTTi ko nam karunga main
apnī miTTī ko nam karūñgā maiñ
ro.uñgā terā ġham karūñgā maiñ
pahle dariyā karūñgā āñkhoñ ko
phir samundar meñ zam karūñgā maiñ
ḳhatm hote hī āḳhirī cigarette
terī yādoñ pe dam karūñgā maiñ
haath talvār kar ke tum dekho
uñgliyoñ ko qalam karūñgā maiñ
tars khā.eñge tere baa'd sabhī
ḳhud pe itnā sitam karūñgā maiñ
dekhnā aur baat hai 'sāhib'
dekhnā baat kam karūñgā maiñ
apni miTTi ko nam karunga main
rounga tera gham karunga main
pahle dariya karunga aankhon ko
phir samundar mein zam karunga main
KHatm hote hi aaKHiri cigarette
teri yaadon pe dam karunga main
hath talwar kar ke tum dekho
ungliyon ko qalam karunga main
tars khaenge tere ba'd sabhi
KHud pe itna sitam karunga main
dekhna aur baat hai 'sahib'
dekhna baat kam karunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.