apni nazir aap rahe hum jahan rahe
apnī nazīr aap rahe ham jahāñ rahe
zor-āzmā agarche zamān-o-makāñ rahe
raste hamāre paañv se lipTe rahe sadā
ham terī justujū hī meñ ai mehrbāñ rahe
jis ko tire huzūr meñ miltī na ho jagah
vo kis ke Dar pe jaa.e vo āḳhir kahāñ rahe
tū ai bahār ham ko miTāne pe tul ga.ī
ham to tamām umr tire rāz-dāñ rahe
is vaqt jab ki log masarrat-navāz the
ham hī ġham-e-habīb tire pāsbāñ rahe
vo paikar-e-ḳhulūs hai vo ārzū-e-dil
ai 'soz' us kā naam hī vird-e-zabāñ rahe
apni nazir aap rahe hum jahan rahe
zor-azma agarche zaman-o-makan rahe
raste hamare panw se lipTe rahe sada
hum teri justuju hi mein ai mehrban rahe
jis ko tere huzur mein milti na ho jagah
wo kis ke Dar pe jae wo aaKHir kahan rahe
tu ai bahaar hum ko miTane pe tul gai
hum to tamam umr tere raaz-dan rahe
is waqt jab ki log masarrat-nawaz the
hum hi gham-e-habib tere pasban rahe
wo paikar-e-KHulus hai wo aarzu-e-dil
ai 'soz' us ka nam hi wird-e-zaban rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.