apni palkon se KHwab tham mera
apnī palkoñ se ḳhvāb thaam mirā
terī āñkhoñ meñ ho qiyām mirā
hijr meñ ḳhud-kushī karegī vo
ḳhud se ḳhud legī intiqām mirā
gorkan huuñ maiñ apne gaañv kā
kaafī himmat-talab hai kaam mirā
kal kahānī ne ḳhud hī pūchh liyā
kab karoge tum iḳhtitām mirā
hazrat-e'mīr' kā muqallid huuñ
tujh pe vājib hai ehtirām mirā
terā 'hasanī' nahīñ rahā huuñ maiñ
ab ‘hasīb-ul-hasan’ hai naam mirā
apni palkon se KHwab tham mera
teri aankhon mein ho qiyam mera
hijr mein KHud-kushi karegi wo
KHud se KHud legi intiqam mera
gorkan hun main apne ganw ka
kafi himmat-talab hai kaam mera
kal kahani ne KHud hi puchh liya
kab karoge tum iKHtitam mera
hazrat-e'mir' ka muqallid hun
tujh pe wajib hai ehtiram mera
tera 'hasani' nahin raha hun main
ab ‘hasib-ul-hasan’ hai nam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.