apni qismat ki tere sath nazar aate hain
apnī qismat ki tire saath nazar aate haiñ
tujh se milne ke liye shams-o-qamar aate haiñ
kis ko ab qissa-e-mahbūb sunāyā jaa.e
yaad karte haiñ to sab zaḳhm ubhar aate haiñ
āḳhirī vaqt meñ de jaate haiñ dāġh-e-furqat
ham-safar aise bhī daurān-e-safar aate haiñ
yaad aatā hai mirā tum se judā ho jaanā
barg jis tarh havāoñ meñ bikhar aate haiñ
kū-e-jānāñ kī fazāoñ ke taqaddus kī qasam
vaañ se jo aate haiñ vo paak nazar aate haiñ
zāhid-e-ḳhushk ko matlab nahīñ maiḳhāne se
dilbarī jin kā vatīra ho idhar aate haiñ
apni qismat ki tere sath nazar aate hain
tujh se milne ke liye shams-o-qamar aate hain
kis ko ab qissa-e-mahbub sunaya jae
yaad karte hain to sab zaKHm ubhar aate hain
aaKHiri waqt mein de jate hain dagh-e-furqat
ham-safar aise bhi dauran-e-safar aate hain
yaad aata hai mera tum se juda ho jaana
barg jis tarh hawaon mein bikhar aate hain
ku-e-jaanan ki fazaon ke taqaddus ki qasam
wan se jo aate hain wo pak nazar aate hain
zahid-e-KHushk ko matlab nahin maiKHane se
dilbari jin ka watira ho idhar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.