apni qismat ki lakiron ko ishaara na mila
apnī qismat kī lakīroñ ko ishāra na milā
koī jugnū koī motī koī taarā na milā
jin kā bachpan mirī bāñhoñ meñ hī guzrā thā kabhī
is buḌhāpe meñ mujhe un kā sahārā na milā
ġham ke maare to hazāroñ hī zamāne meñ mile
mere jaisā koī taqdīr kā maarā na milā
ghuum aa.e haiñ jahāñ saarā magar aaj talak
aap ke jaisā hañsī koī dobāra na milā
apnī palkoñ ko bichhāyā tirī rāhoñ meñ magar
terī aamad kā koī dil ko ishārā na milā
mujh ko duniyā ne to nafrat ke sivā kuchh na diyā
mar hī jā.ūñgā agar pyaar tumhārā na milā
jo safīne ko kināre se lagā detā mire
haa.e qismat mujhe aisā koī dhārā na milā
hai ġhamoñ kā vo bhañvar jis meñ phañsā huuñ ai 'mukesh'
zindagī ko mirī ḳhushiyoñ kā kinārā na milā
apni qismat ki lakiron ko ishaara na mila
koi jugnu koi moti koi tara na mila
jin ka bachpan meri banhon mein hi guzra tha kabhi
is buDhape mein mujhe un ka sahaara na mila
gham ke mare to hazaron hi zamane mein mile
mere jaisa koi taqdir ka mara na mila
ghum aae hain jahan sara magar aaj talak
aap ke jaisa hansi koi dobara na mila
apni palkon ko bichhaya teri rahon mein magar
teri aamad ka koi dil ko ishaara na mila
mujh ko duniya ne to nafrat ke siwa kuchh na diya
mar hi jaunga agar pyar tumhaara na mila
jo safine ko kinare se laga deta mere
hae qismat mujhe aisa koi dhaara na mila
hai ghamon ka wo bhanwar jis mein phansa hun ai 'mukesh'
zindagi ko meri KHushiyon ka kinara na mila
- Book : Scan File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.