apni qurbat ke sab aasar bhi lete jaana
apnī qurbat ke sab āsār bhī lete jaanā
ab jo jaao dar-o-dīvār bhī lete jaanā
chhoḌ kar jā hī rahe ho to phir apne hamrāh
saath rahne kā vo iqrār bhī lete jaanā
dukh to hogā magar ehsās ho kam-kam shāyad
jaate jaate mirā pindār bhī lete jaanā
be-ḳhudī mujh se mirī chhīn ke jaane vaale
āgahī ke kaḌe āzār bhī lete jaanā
jashn-e-āzādī-e-iz.hār meñ ai naġhmagaro
merī zanjīr kī jhankār bhī lete jaanā
un se milne kabhī jaao to ba-tarz-e-sauġhāt
mujh se mil kar mire ash'ār bhī lete jaanā
bazm-e-yārāñ nahīñ hākim kī 'adālat hai 'zahīr'
sar par ūñchī koī dastār bhī lete jaanā
apni qurbat ke sab aasar bhi lete jaana
ab jo jao dar-o-diwar bhi lete jaana
chhoD kar ja hi rahe ho to phir apne hamrah
sath rahne ka wo iqrar bhi lete jaana
dukh to hoga magar ehsas ho kam-kam shayad
jate jate mera pindar bhi lete jaana
be-KHudi mujh se meri chhin ke jaane wale
aagahi ke kaDe aazar bhi lete jaana
jashn-e-azadi-e-izhaar mein ai naghmagaro
meri zanjir ki jhankar bhi lete jaana
un se milne kabhi jao to ba-tarz-e-saughat
mujh se mil kar mere ash'ar bhi lete jaana
bazm-e-yaran nahin hakim ki 'adalat hai 'zahir'
sar par unchi koi dastar bhi lete jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.