apni sochen shikast-o-KHam na kar
apnī socheñ shikast-o-ḳhām na kar
chal paḌā hai to phir qayām na kar
maiñ bhī hassās dil kā mālik huuñ
saare ehsās apne naam na kar
jism chāhe ġhulām ho jaa.e
zehniyat ko magar ġhulām na kar
maiñ ḳhud apnī nazar se gir jā.ūñ
tū mirā itnā ehtirām na kar
tere pīchhe ġhubār uḌne lage
ḳhud ko tū itnā tez-gām na kar
log mashkūk ho chale 'āzar'
ab har ik shaḳhs ko salām na kar
apni sochen shikast-o-KHam na kar
chal paDa hai to phir qayam na kar
main bhi hassas dil ka malik hun
sare ehsas apne nam na kar
jism chahe ghulam ho jae
zehniyat ko magar ghulam na kar
main KHud apni nazar se gir jaun
tu mera itna ehtiram na kar
tere pichhe ghubar uDne lage
KHud ko tu itna tez-gam na kar
log mashkuk ho chale 'azar'
ab har ek shaKHs ko salam na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.