apni sunaen aap ki puchhen aapas ke gham dur karen
apnī sunā.eñ aap kī pūchheñ aapas ke ġham duur kareñ
chand ash.ār haiñ pesh-e-ḳhidmat aap agar manzūr kareñ
vus.at meñ kuchh farq nahīñ hai izzat ho yā rusvā.ī
donoñ duur talak le jaa.eñ donoñ hī mash.hūr kareñ
āshiq se mahbūb judā ho yā gul bichhḌe bulbul se
hijr ke sadme achchhe ḳhāse chehroñ ko be-nūr kareñ
jalva-ba-jalva hai vo nazar meñ aur vahī jab dil kā makīñ
kyoñ dohrā.eñ qissa-e-mūsā kyoñ phir zikr-e-tūr kareñ
aao paas hamāre baiTho tum jo ho vo samjhā.eñ
tum jo nahīñ ho vo bhī kah kar aur tumheñ maġhrūr kareñ
roz ye Thāneñ us kī galī meñ ab na kabhī rakkheñge qadam
kyā kiije gar dil ke taqāze rozāna majbūr kareñ
ham dānista tum ko bhulā.eñ tum mutavātir yaad karo
yuuñ duniyā-e-ishq meñ raa.ij ek nayā dastūr kareñ
apni sunaen aap ki puchhen aapas ke gham dur karen
chand ashaar hain pesh-e-KHidmat aap agar manzur karen
wusat mein kuchh farq nahin hai izzat ho ya ruswai
donon dur talak le jaen donon hi mashhur karen
aashiq se mahbub juda ho ya gul bichhDe bulbul se
hijr ke sadme achchhe KHase chehron ko be-nur karen
jalwa-ba-jalwa hai wo nazar mein aur wahi jab dil ka makin
kyon dohraen qissa-e-musa kyon phir zikr-e-tur karen
aao pas hamare baiTho tum jo ho wo samjhaen
tum jo nahin ho wo bhi kah kar aur tumhein maghrur karen
roz ye Thanen us ki gali mein ab na kabhi rakkhenge qadam
kya kije gar dil ke taqaze rozana majbur karen
hum danista tum ko bhulaen tum mutawatir yaad karo
yun duniya-e-ishq mein raij ek naya dastur karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.