apni surat ko ajnabi kar lo
apnī sūrat ko ajnabī kar lo
ham se chāho to be-ruḳhī kar lo
koī mehmān aane vaalā hai
ḳhushk palkoñ ko shabnamī kar lo
thoḌā dil ko sukūn mil jaa.e
aao kuchh der shā.erī kar lo
us ne rasman mizāj pūchhā hai
tum bhī sun sun ke an-sunī kar lo
gungunā kar ġhazal hasīn koī
tum añdhere meñ raushnī kar lo
shaam hone meñ vaqt hai 'irfān'
jo bhī karnā hai bas abhī kar lo
apni surat ko ajnabi kar lo
hum se chaho to be-ruKHi kar lo
koi mehman aane wala hai
KHushk palkon ko shabnami kar lo
thoDa dil ko sukun mil jae
aao kuchh der shaeri kar lo
us ne rasman mizaj puchha hai
tum bhi sun sun ke an-suni kar lo
gunguna kar ghazal hasin koi
tum andhere mein raushni kar lo
sham hone mein waqt hai 'irfan'
jo bhi karna hai bas abhi kar lo
- Book : حاشیےمیں نیکیاں (Pg. 81)
- Author : عرفانؔ شاہ نوری
- Publication : الفاظ پبلی کیشن، کامٹی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.