apni tamir mein kab bais-e-nuqsan hun main
apnī ta.amīr meñ kab bā.is-e-nuqsān huuñ maiñ
bas ḳhushī ke liye muddat se pareshān huuñ maiñ
yuuñ uThā.e hue phirtī hai mujhe gām-ba-gām
jaise taqdīr kā bāñdhā huā sāmān huuñ maiñ
kitne chehroñ ke ḳhad-o-ḳhāl meñ chehra na rahā
iztirābī tire kirdār pe hairān huuñ maiñ
itnā dukh de ki tirā dard badan jhel sake
zindagī kuchh bhī ho āḳhir tirā mehmān huuñ maiñ
tez āñdhī meñ kisī sūkhe shajar kī sūrat
kaun samjhegā dhaḌakte hue be-jān huuñ maiñ
is liye tujh se hifāzat kī duā hai mālik
terī baḳhshī huī rahmat kā nigahbān huuñ maiñ
mere hone kī koī ek alāmat to mile
jis se mahsūs kiyā jaa.e ki 'shīrān' huuñ maiñ
apni tamir mein kab bais-e-nuqsan hun main
bas KHushi ke liye muddat se pareshan hun main
yun uThae hue phirti hai mujhe gam-ba-gam
jaise taqdir ka bandha hua saman hun main
kitne chehron ke KHad-o-KHal mein chehra na raha
iztirabi tere kirdar pe hairan hun main
itna dukh de ki tera dard badan jhel sake
zindagi kuchh bhi ho aaKHir tera mehman hun main
tez aandhi mein kisi sukhe shajar ki surat
kaun samjhega dhaDakte hue be-jaan hun main
is liye tujh se hifazat ki dua hai malik
teri baKHshi hui rahmat ka nigahban hun main
mere hone ki koi ek alamat to mile
jis se mahsus kiya jae ki 'shiran' hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.