apni tajwiz par ganwae gae
apnī tajvīz par gañvā.e ga.e
ham agar is jahāñ meñ paa.e ga.e
dil ke atrāf meñ umīdeñ thiiñ
dekh dekh un ko muskurā.e ga.e
apne hone meñ saañs lete the
mar ga.e is qadar satā.e ga.e
farz the jo nahīñ hue vo adā
qarz the jo nahīñ chukā.e ga.e
fā.eda maut meñ dikhā.ī diyā
ziist vaale udaas paa.e ga.e
kyā badī kā faroġh thā 'bedī'
ham se logoñ pe zulm Dhaa.e ga.e
apni tajwiz par ganwae gae
hum agar is jahan mein pae gae
dil ke atraf mein umiden thin
dekh dekh un ko muskurae gae
apne hone mein sans lete the
mar gae is qadar satae gae
farz the jo nahin hue wo ada
qarz the jo nahin chukae gae
faeda maut mein dikhai diya
zist wale udas pae gae
kya badi ka farogh tha 'bedi'
hum se logon pe zulm Dhae gae
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 281)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.