apni taKHliq mein apna hi hunar jagta hai
apnī taḳhlīq meñ apnā hī hunar jāgtā hai
vaqt lagtā hai magar sach kā asar jaatā hai
baat chhoTī hī agar Dhang se kah de koī
sunñe vaale meñ tajassus kā asar jāgtā hai
shīsha-paikar ho to patthar se nibhā.e rakho
ye salīqa jise aatā hai vo ghar jāgtā hai
zindagī naam hai jiine kā to zinda sab haiñ
pyaar miltā hai to ḳhvāboñ kā shajar jāgtā hai
pyaar kā apnā muqaddar hai judā.ī 'sīmā'
varna har raat hī āñchal meñ qamar jāgtā hai
apni taKHliq mein apna hi hunar jagta hai
waqt lagta hai magar sach ka asar jata hai
baat chhoTi hi agar Dhang se kah de koi
sunne wale mein tajassus ka asar jagta hai
shisha-paikar ho to patthar se nibhae rakho
ye saliqa jise aata hai wo ghar jagta hai
zindagi nam hai jine ka to zinda sab hain
pyar milta hai to KHwabon ka shajar jagta hai
pyar ka apna muqaddar hai judai 'sima'
warna har raat hi aanchal mein qamar jagta hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 99)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.