apni tanhai aur gham apne
apnī tanhā.ī aur ġham apne
jo haiñ hamrāh o ham-qadam apne
duur ho jā.iye bhalā kis se
yaad rahtī hai jab baham apne
ishq aur iztirāb haiñ donoñ
jānñe vaale mohtaram apne
āsmāñ ke hasīn sāhil par
jagmagāte rahe the nam apne
niiñd bhī ek rāsta hī to hai
DhūñDiye ḳhvāb dam-ba-dam apne
the kabhī fat.h-o-sarḳhushī kā nishāñ
haiñ alam in dinoñ alam apne
dil meñ rahte haiñ ‘kāmrān-nafīs'
ghar bhī rakhte haiñ saath ham apne
apni tanhai aur gham apne
jo hain hamrah o ham-qadam apne
dur ho jaiye bhala kis se
yaad rahti hai jab baham apne
ishq aur iztirab hain donon
jaanne wale mohtaram apne
aasman ke hasin sahil par
jagmagate rahe the nam apne
nind bhi ek rasta hi to hai
DhunDiye KHwab dam-ba-dam apne
the kabhi fath-o-sarKHushi ka nishan
hain alam in dinon alam apne
dil mein rahte hain ‘kaamran-nafis'
ghar bhi rakhte hain sath hum apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.