apni tanhai zindagi kar li
apnī tanhā.ī zindagī kar lī
zabt chhalkā to shā.irī kar lī
rañg meñ Dhalte hue tire maiñ ne
shakl tak apnī sāñvlī kar lī
raat bhar āsmān meñ bhaTkā
chāñd ne sub.h ḳhud-kushī kar lī
jab zabāñ vaale be-vafā nikle
be-zabānoñ se dostī kar lī
tū mire hāsiloñ meñ hai to nahīñ
phir bhī ḳhvāhish kabhī kabhī kar lī
phir kiyā ishq aur phir puurī
jo kasar thī rahī-sahī kar lī
kuchh ne chun lī ġhazal kī mushkil raah
kuchh ne ghabrā ke naukrī kar lī
apni tanhai zindagi kar li
zabt chhalka to shairi kar li
rang mein Dhalte hue tere main ne
shakl tak apni sanwli kar li
raat bhar aasman mein bhaTka
chand ne subh KHud-kushi kar li
jab zaban wale be-wafa nikle
be-zabanon se dosti kar li
tu mere hasilon mein hai to nahin
phir bhi KHwahish kabhi kabhi kar li
phir kiya ishq aur phir puri
jo kasar thi rahi-sahi kar li
kuchh ne chun li ghazal ki mushkil rah
kuchh ne ghabra ke naukri kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.