apni tanhaiyon pe rote hain
apnī tanhā.iyoñ pe rote haiñ
zaḳhm-e-dil roz apne dhote haiñ
yād-e-māzī ko zabt karte haiñ
aur kabhī hāl-e-ġham samote haiñ
vo tasavvur meñ mere haiñ har dam
jo mire paas bhī na hote haiñ
lamhe gin-gin ke din guzartā hai
raat bhar ham kabhī na sote haiñ
gir rahe haiñ jo mere dāmāñ par
qatre ḳhūn-e-jigar ke hote haiñ
koī samjhā.e jā ke un ko zarā
kyoñ vo tīr-e-sitam chubhote haiñ
na samajhte hue mire ġham ko
kashtī-e-ārzū Dubote haiñ
nazr karne ko kuchh nahīñ hai 'adā'
āñsuoñ kī laḌī pirote haiñ
apni tanhaiyon pe rote hain
zaKHm-e-dil roz apne dhote hain
yaad-e-mazi ko zabt karte hain
aur kabhi haal-e-gham samote hain
wo tasawwur mein mere hain har dam
jo mere pas bhi na hote hain
lamhe gin-gin ke din guzarta hai
raat bhar hum kabhi na sote hain
gir rahe hain jo mere daman par
qatre KHun-e-jigar ke hote hain
koi samjhae ja ke un ko zara
kyon wo tir-e-sitam chubhote hain
na samajhte hue mere gham ko
kashti-e-arzu Dubote hain
nazr karne ko kuchh nahin hai 'ada'
aansuon ki laDi pirote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.