apni tarah mujhe bhi zamane mein aam kar
apnī tarah mujhe bhī zamāne meñ aam kar
ai zāt-e-ambarīñ mujhe ḳhushbū maqām kar
un pattharoñ ko raakh na kar soz-e-nutq se
mujh se kalām kar kabhī mujh se kalām kar
sadiyoñ kī maiñ kashīd huuñ ai sāqī-e-azal
mere vajūd ko bhī kabhī sarf-e-jām kar
āzād ho chukā huuñ maiñ qaid-e-havās se
bām-e-nazar se ab mirā baalā maqām kar
mujh ko nishān-e-saltanat-e-be-nishān de
duniyā-e-nām-o-nañg ko be-nañg-o-nām kar
saarā nizām-e-shams kahīñ ye bujhā na de
is soḳhta kiran kā koī intizām kar
aalam meñ hai sabāt faqat merī ruuh ko
mujh meñ samā ke ab koī kār-e-davām kar
koī makīn-e-qarya-e-jāñ tū bhī DhūñDh le
tū bhī 'rashīd' aaj kisī ko salām kar
apni tarah mujhe bhi zamane mein aam kar
ai zat-e-ambarin mujhe KHushbu maqam kar
un pattharon ko rakh na kar soz-e-nutq se
mujh se kalam kar kabhi mujh se kalam kar
sadiyon ki main kashid hun ai saqi-e-azal
mere wajud ko bhi kabhi sarf-e-jam kar
aazad ho chuka hun main qaid-e-hawas se
baam-e-nazar se ab mera baala maqam kar
mujh ko nishan-e-saltanat-e-be-nishan de
duniya-e-nam-o-nang ko be-nang-o-nam kar
sara nizam-e-shams kahin ye bujha na de
is soKHta kiran ka koi intizam kar
aalam mein hai sabaat faqat meri ruh ko
mujh mein sama ke ab koi kar-e-dawam kar
koi makin-e-qarya-e-jaan tu bhi DhunDh le
tu bhi 'rashid' aaj kisi ko salam kar
- Book : Fasiil-e-lab (Pg. 118)
- Author : Rashiid Qaisarani
- Publication : Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.