apni ulfat ka bharam humne sada rakkha hai
apnī ulfat kā bharam ham ne sadā rakkhā hai
jaan de dī hai magar pās-e-vafā rakkhā hai
ik nazar dekhā thā ab chain kahāñ hai dil ko
shauq-e-dīdār ne dīvāna banā rakkhā hai
log jazbāt-e-mohabbat se nahīñ haiñ vāqif
baat kuchh bhī nahīñ afsāna banā rakkhā hai
ham ne mai pī hai to saaqī kī nazar se pī hai
aap ne haath meñ paimāna uThā rakkhā hai
aap chāheñ to baḌe shauq se aa sakte haiñ
maiñ ne is dil ke darīche ko khulā rakkhā hai
apni ulfat ka bharam hum ne sada rakkha hai
jaan de di hai magar pas-e-wafa rakkha hai
ek nazar dekha tha ab chain kahan hai dil ko
shauq-e-didar ne diwana bana rakkha hai
log jazbaat-e-mohabbat se nahin hain waqif
baat kuchh bhi nahin afsana bana rakkha hai
hum ne mai pi hai to saqi ki nazar se pi hai
aap ne hath mein paimana uTha rakkha hai
aap chahen to baDe shauq se aa sakte hain
main ne is dil ke dariche ko khula rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.