apnon ka dil toD ke baba
apnoñ kā dil toḌ ke baabā
kyoñ aa.e ghar chhoḌ ke baabā
paisa paisa maañg rahe ho
paise se muñh moḌ ke baabā
kyā DhūñDā thā kyā paayā hai
apnā aap nichoḌ ke baabā
kis se rishta joḌ rahe ho
sab se rishta toḌ ke baabā
jag meñ jin ke kāran aa.e
kyā paayā unheñ chhoḌ ke baabā
dhāgā toḌ ke dekh liyā hai
dekho phir use joḌ ke baabā
jis tanhā.ī ke ho āshiq
vo na mile muñh moḌ ke baabā
ye jag hai patthar kī kalā.ī
dekho is ko maroḌ ke baabā
apnon ka dil toD ke baba
kyon aae ghar chhoD ke baba
paisa paisa mang rahe ho
paise se munh moD ke baba
kya DhunDa tha kya paya hai
apna aap nichoD ke baba
kis se rishta joD rahe ho
sab se rishta toD ke baba
jag mein jin ke karan aae
kya paya unhen chhoD ke baba
dhaga toD ke dekh liya hai
dekho phir use joD ke baba
jis tanhai ke ho aashiq
wo na mile munh moD ke baba
ye jag hai patthar ki kalai
dekho is ko maroD ke baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.