apnon ko nahin samjha apna begana samajh kar chhoD diya
apnon ko nahin samjha apna begana samajh kar chhoD diya
Purnam Allahabadi
MORE BYPurnam Allahabadi
apnoñ ko nahīñ samjhā apnā begāna samajh kar chhoḌ diyā
afsos haqīqat ko tum ne afsāna samajh ke chhoḌ diyā
tum ne bhī mire TuuTe dil kī kuchh qadr na kī kyā zulm kiyā
tum ne bhī mirā dil TuuTā huā paimāna samajh ke chhoḌ diyā
mandir ko na samjhā ghar us kā afsos baḌī nādānī kī
allāh ke ghar ko zāhid ne but-ḳhāna samajh ke chhoḌ diyā
ai hazrat-e-mūsā shukr karo tum ko na jalāyā ḳhair huī
is sham.a ne apne jalvoñ kā parvāna banā ke chhoḌ diyā
marne ke baa'd bhī kaam aa.ī dīvāngī apnī ai 'purnam'
turbat meñ farishtoñ ne mujh ko dīvāna samajh kar chhoḌ diyā
apnon ko nahin samjha apna begana samajh kar chhoD diya
afsos haqiqat ko tum ne afsana samajh ke chhoD diya
tum ne bhi mere TuTe dil ki kuchh qadr na ki kya zulm kiya
tum ne bhi mera dil TuTa hua paimana samajh ke chhoD diya
mandir ko na samjha ghar us ka afsos baDi nadani ki
allah ke ghar ko zahid ne but-KHana samajh ke chhoD diya
ai hazrat-e-musa shukr karo tum ko na jalaya KHair hui
is shama ne apne jalwon ka parwana bana ke chhoD diya
marne ke ba'd bhi kaam aai diwangi apni ai 'purnam'
turbat mein farishton ne mujh ko diwana samajh kar chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.