Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apnon ne diye dhoke ghairon ne sataya bhi

Sabir Naseerabadi

apnon ne diye dhoke ghairon ne sataya bhi

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    apnoñ ne diye dhoke ġhairoñ ne satāyā bhī

    is par bhī ġhazal-ḳhvāñ haiñ kyā dil hai hamārā bhī

    shahroñ ke makānoñ meñ hotā rahā aisā bhī

    be-ghar ko panah de kar ghar vāloñ ne luuTā bhī

    ḳhud aag lagāte haiñ apne makānoñ meñ

    dekhā hai fasādoñ meñ ham ne ye tamāshā bhī

    jis peḌ ke saa.e meñ miltā thā sukūñ sab ko

    us peḌ ko logoñ ne kaaTā bhī jalāyā bhī

    koī bhī nahīñ pohñchā sab mahv-e-tamāshā the

    us Dūbne vaale ne māñgā thā sahārā bhī

    hasrat-bharī āñkhoñ se dekho na mirī jānib

    bujhtī huī chingārī ban jaatī hai sho'la bhī

    hai un ko bhulā denā dushvār bahut 'sābir'

    vo ham ko bhulā baiTheñ mumkin nahīñ aisā bhī

    apnon ne diye dhoke ghairon ne sataya bhi

    is par bhi ghazal-KHwan hain kya dil hai hamara bhi

    shahron ke makanon mein hota raha aisa bhi

    be-ghar ko panah de kar ghar walon ne luTa bhi

    KHud aag lagate hain apne hi makanon mein

    dekha hai fasadon mein hum ne ye tamasha bhi

    jis peD ke sae mein milta tha sukun sab ko

    us peD ko logon ne kaTa bhi jalaya bhi

    koi bhi nahin pohncha sab mahw-e-tamasha the

    us Dubne wale ne manga tha sahaara bhi

    hasrat-bhari aankhon se dekho na meri jaanib

    bujhti hui chingari ban jati hai sho'la bhi

    hai un ko bhula dena dushwar bahut 'sabir'

    wo hum ko bhula baiThen mumkin nahin aisa bhi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now