aqab mein darmiyan aur samne wali nashiston par
aqab meñ darmiyāñ aur sāmne vaalī nashistoñ par
jahāñ dekhā vahāñ the aap hī saarī nashistoñ par
vo jab stage par aayā to pīchhe baiThne vaale
chale aa.e qatāreñ toḌ kar aglī nashistoñ par
ḳhabar hī na milī un ko tamāshā ḳhatm hone kī
tamāshā.ī jhagaḌte rah ga.e ḳhālī nashistoñ par
gale meñ dil uchhal kar aa gayā sab ahl-e-mahfil kā
jab us ne be-niyāzī se nazar Daalī nashistoñ par
unheñ har hukm sun kar shaah kī tā.īd karnī thī
riyāzat kaaT kar pahuñche jo darbārī nashistoñ par
yahāñ par har kisī ko hukmarāñ hone kī ḳhvāhish hai
nazar hizb-e-muḳhālif kī hai sarkārī nashistoñ par
jo dekhī ziist ke stage par apnī adākārī
maiñ royā baarī baarī baiTh kar ḳhālī nashistoñ par
'hasan' ham ko bhī apnī shā.irī par daad mil jaatī
hamāre dost jā kar so ga.e pichhlī nashistoñ par
aqab mein darmiyan aur samne wali nashiston par
jahan dekha wahan the aap hi sari nashiston par
wo jab stage par aaya to pichhe baiThne wale
chale aae qataren toD kar agli nashiston par
KHabar hi na mili un ko tamasha KHatm hone ki
tamashai jhagaDte rah gae KHali nashiston par
gale mein dil uchhal kar aa gaya sab ahl-e-mahfil ka
jab us ne be-niyazi se nazar Dali nashiston par
unhen har hukm sun kar shah ki taid karni thi
riyazat kaT kar pahunche jo darbari nashiston par
yahan par har kisi ko hukmaran hone ki KHwahish hai
nazar hizb-e-muKHalif ki hai sarkari nashiston par
jo dekhi zist ke stage par apni adakari
main roya bari bari baiTh kar KHali nashiston par
'hasan' hum ko bhi apni shairi par dad mil jati
hamare dost ja kar so gae pichhli nashiston par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.