aqdar-e-kuhan hath se jaane nahin deta
aqdār-e-kuhan haath se jaane nahīñ detā
ghar us ke chale jaao to aane nahīñ detā
miltā hai magar haath milāne nahīñ detā
dīvār takalluf kī girāne nahīñ detā
mā'lūm nahīñ mujh se vo ḳhush hai ki ḳhafā hai
chehre pe koī rang hī aane nahīñ detā
tauhīn-e-‘adālat kī sazā us ko milī hai
jo 'adl ko suulī pe chaḌhāne nahīñ detā
tāriq kī qayādat ke talabgār to sab haiñ
kashtī hī koī aaj jalāne nahīñ detā
āsāñ to yahī hai ki uTho shahr jalāo
jangal meñ koī aag lagāne nahīñ detā
us shaḳhs se phal kī koī ummīd rakhe kyā
jo peḌ ke patte bhī uThāne nahīñ detā
'irfān' mire shahr kī galiyāñ haiñ bahut tang
dīvār koī apnī girāne nahīñ detā
aqdar-e-kuhan hath se jaane nahin deta
ghar us ke chale jao to aane nahin deta
milta hai magar hath milane nahin deta
diwar takalluf ki girane nahin deta
ma'lum nahin mujh se wo KHush hai ki KHafa hai
chehre pe koi rang hi aane nahin deta
tauhin-e-‘adalat ki saza us ko mili hai
jo 'adl ko suli pe chaDhane nahin deta
tariq ki qayaadat ke talabgar to sab hain
kashti hi koi aaj jalane nahin deta
aasan to yahi hai ki uTho shahr jalao
jangal mein koi aag lagane nahin deta
us shaKHs se phal ki koi ummid rakhe kya
jo peD ke patte bhi uThane nahin deta
'irfan' mere shahr ki galiyan hain bahut tang
diwar koi apni girane nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.