aql ek mauj-e-rawan mere KHayalat mein hai
aql ek mauj-e-rawan mere KHayalat mein hai
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
MORE BYNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
aql ik mauj-e-ravāñ mere ḳhayālāt meñ hai
hāsil-e-hosh-o-ḳhirad merī ḳhurāfāt meñ hai
lutf jo un ke ishārāt-o-kināyāt meñ hai
vo kisī harf-o-hikāyat na kisī baat meñ hai
mājrā-e-ġham-e-dil aaj kā qila to nahīñ
ye fasāna mirī derīna rivāyāt meñ hai
ātish-e-gul hai mire dāġh-e-jigar kī tanvīr
ḳhush-navā.ī-e-anādil mire naġhmāt meñ hai
ḳhidmat-e-dost meñ kal nazr kyā thā dil ko
tohfa-e-jān-e-hazīñ aaj kī sauġhāt meñ hai
apne pahlū meñ mohabbat ko jagah de ai dost
ḳhūbī-e-har-do-jahāñ husn-e-musāvāt meñ hai
pā-e-sāqī pe girā sajde meñ shāyad vaa.iz
ik qayāmat sī bapā aaj ḳharābāt meñ hai
ab kahāñ apnī vafāoñ pe yaqīñ hai mujh ko
ki yaqīñ bhī to mirā gum tire shub.hāt meñ hai
rū-e-dād-e-qamar-o-zohra keh mahbūb mujhe
husn-e-āfāq numāyāñ jo sanamyāt meñ hai
ho jo fursat to kabhī ham se bhī bāteñ kar lo
zindagānī kā maza harf-o-hikāyāt meñ hai
paa.e vo din ki ziyā-pāsh ruḳh-e-raushan thā
ab kahāñ jalva-e-mahtāb mirī baat meñ hai
yaad aa jaatī hai be-mehrī-e-ahbāb zarūr
varna kyā fā.eda ġhairoñ se mulāqāt meñ hai
dil taḌaptā hai shab-o-roz ġham-e-furqat meñ
ab kisī din meñ maza hai na kisī raat meñ hai
chashm-e-sāqī kī taraf dekh rahe haiñ mai-ḳhvār
ye kisī taak meñ hai vo bhī kisī ghaat meñ hai
aql ek mauj-e-rawan mere KHayalat mein hai
hasil-e-hosh-o-KHirad meri KHurafat mein hai
lutf jo un ke ishaaraat-o-kinayat mein hai
wo kisi harf-o-hikayat na kisi baat mein hai
majra-e-gham-e-dil aaj ka qila to nahin
ye fasana meri derina riwayat mein hai
aatish-e-gul hai mere dagh-e-jigar ki tanwir
KHush-nawai-e-anadil mere naghmat mein hai
KHidmat-e-dost mein kal nazr kya tha dil ko
tohfa-e-jaan-e-hazin aaj ki saughat mein hai
apne pahlu mein mohabbat ko jagah de ai dost
KHubi-e-har-do-jahan husn-e-musawat mein hai
pa-e-saqi pe gira sajde mein shayad waiz
ek qayamat si bapa aaj KHarabaat mein hai
ab kahan apni wafaon pe yaqin hai mujh ko
ki yaqin bhi to mera gum tere shubhat mein hai
ru-e-dad-e-qamar-o-zohra keh mahbub mujhe
husn-e-afaq numayan jo sanamyat mein hai
ho jo fursat to kabhi hum se bhi baaten kar lo
zindagani ka maza harf-o-hikayat mein hai
pae wo din ki ziya-pash ruKH-e-raushan tha
ab kahan jalwa-e-mahtab meri baat mein hai
yaad aa jati hai be-mehri-e-ahbab zarur
warna kya faeda ghairon se mulaqat mein hai
dil taDapta hai shab-o-roz gham-e-furqat mein
ab kisi din mein maza hai na kisi raat mein hai
chashm-e-saqi ki taraf dekh rahe hain mai-KHwar
ye kisi tak mein hai wo bhi kisi ghat mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.