aql ne hum ko yun bhaTkaya rah na sake diwane bhi
aql ne ham ko yuuñ bhaTkāyā rah na sake dīvāne bhī
ābādī ko DhūñDne nikle kho baiThe vīrāne bhī
chashm-e-sāqī bhī nam hai lau dete haiñ paimāne bhī
tishna-labī ke sail-e-tapāñ se bach na sake maiḳhāne bhī
sang-e-jafā ko ḳhush-ḳhabarī do muzhda do zanjīroñ ko
shahr-e-ḳhirad meñ aa pahuñche haiñ ham jaise dīvāne bhī
ham ne jab jis dost ko bhī ā.īna dikhāyā maazī kā
hairāñ ho kar aks ne pūchhā aap mujhe pahchāne bhī
jism kī tishna-sāmānī se jism hī nā-āsūda nahīñ
TuuT ga.e is zad par aa kar ruuh ke tāne-bāne bhī
andeshe aur bazm-e-jānāñ daar kā zikr aur itnā sukūt
dīvānoñ ke bhes meñ shāyad aa pahuñche farzāne bhī
aql ne hum ko yun bhaTkaya rah na sake diwane bhi
aabaadi ko DhunDne nikle kho baiThe virane bhi
chashm-e-saqi bhi nam hai lau dete hain paimane bhi
tishna-labi ke sail-e-tapan se bach na sake maiKHane bhi
sang-e-jafa ko KHush-KHabari do muzhda do zanjiron ko
shahr-e-KHirad mein aa pahunche hain hum jaise diwane bhi
hum ne jab jis dost ko bhi aaina dikhaya mazi ka
hairan ho kar aks ne puchha aap mujhe pahchane bhi
jism ki tishna-samani se jism hi na-asuda nahin
TuT gae is zad par aa kar ruh ke tane-bane bhi
andeshe aur bazm-e-jaanan dar ka zikr aur itna sukut
diwanon ke bhes mein shayad aa pahunche farzane bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.