aql se hasil hui kya kya pashimani mujhe
aql se hāsil huī kyā kyā pashīmānī mujhe
ishq jab dene lagā tālīm-e-nādānī mujhe
ranj degī bāġh-e-rizvāñ kī tan-āsānī mujhe
yaad aa.egā tirā lutf-e-sitam-rānī mujhe
merī jānib hai muḳhātib ḳhaas kar vo chashm-e-nāz
ab to karnī hī paḌegī dil kī qurbānī mujhe
dekh le ab kahīñ aa kar jo vo ġhaflat-shi.ār
kis qadar ho jaa.e mar jaane meñ āsānī mujhe
be-naqāb aane ko haiñ maqtal meñ vo be-shak magar
dekhne kaahe ko degī merī hairānī mujhe
saiñkaḌoñ āzādiyāñ is qaid par 'hasrat' nisār
jis ke baa.is kahte haiñ sab un kā zindānī mujhe
aql se hasil hui kya kya pashimani mujhe
ishq jab dene laga talim-e-nadani mujhe
ranj degi bagh-e-rizwan ki tan-asani mujhe
yaad aaega tera lutf-e-sitam-rani mujhe
meri jaanib hai muKHatib KHas kar wo chashm-e-naz
ab to karni hi paDegi dil ki qurbani mujhe
dekh le ab kahin aa kar jo wo ghaflat-shiar
kis qadar ho jae mar jaane mein aasani mujhe
be-naqab aane ko hain maqtal mein wo be-shak magar
dekhne kahe ko degi meri hairani mujhe
sainkaDon aazadiyan is qaid par 'hasrat' nisar
jis ke bais kahte hain sab un ka zindani mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.