aql thi aagahi ne mar diya
aql thī āgahī ne maar diyā
diid ko raushnī ne maar diyā
ek bekas thā jis ke ḳhvāboñ ko
us kī be-chārgī ne maar diyā
ham ne chāhā ki baat ban jaa.e
ziist kī be-ruḳhī ne maar diyā
dekh kar paanī mar gayā pyāsā
us ko sachchī ḳhushī ne maar diyā
thā jo apnā banā vo an-jānā
phir usī ajnabī ne maar diyā
kyā ta.ajjub kī koī baat nahīñ
aadmī aadmī ne maar diyā
aql thi aagahi ne mar diya
did ko raushni ne mar diya
ek bekas tha jis ke KHwabon ko
us ki be-chaargi ne mar diya
hum ne chaha ki baat ban jae
zist ki be-ruKHi ne mar diya
dekh kar pani mar gaya pyasa
us ko sachchi KHushi ne mar diya
tha jo apna bana wo an-jaana
phir usi ajnabi ne mar diya
kya tajjub ki koi baat nahin
aadmi aadmi ne mar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.