aql to kahti hai ab ke us se achchha DhunD lun
aql to kahtī hai ab ke us se achchhā DhūñD luuñ
hai magar dil kī ye zid phir us ke jaisā DhūñD luuñ
is se mere pyaas kī shiddat meñ aa.egī kamī
meñ agar ḳhud se ziyāda koī pyāsā DhūñD luuñ
ai ḳhudā jo ho tire donoñ jahānoñ se alag
tū ijāzat de to koī aur duniyā DhūñD luuñ
ḳhud-kushī aur zindagī meñ se agar chunñā paḌe
ain-mumkin hai maiñ koī aur rasta DhūñD luuñ
is se pahle ki mire khone kī ḳhabreñ aam huuñ
merī koshish hai ki maiñ ḳhud ko dobāra DhūñD luuñ
aur kitnī der hai iisā ki aane meñ abhī
kyā maiñ jab tak ke liye koī masīhā DhūñD luuñ
aql to kahti hai ab ke us se achchha DhunD lun
hai magar dil ki ye zid phir us ke jaisa DhunD lun
is se mere pyas ki shiddat mein aaegi kami
mein agar KHud se ziyaada koi pyasa DhunD lun
ai KHuda jo ho tere donon jahanon se alag
tu ijazat de to koi aur duniya DhunD lun
KHud-kushi aur zindagi mein se agar chunna paDe
ain-mumkin hai main koi aur rasta DhunD lun
is se pahle ki mere khone ki KHabren aam hun
meri koshish hai ki main KHud ko dobara DhunD lun
aur kitni der hai isa ki aane mein abhi
kya main jab tak ke liye koi masiha DhunD lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.