aqlim-e-aql-o-hosh ke sultan ho gae
aqlīm-e-aql-o-hosh ke sultān ho ga.e
ḳhud ko bhulā ke sāhib-e-irfān ho ga.e
kyā jaane aks merā vahāñ kaise aa gayā
vo aa.ine ko dekh ke hairān ho ga.e
har gosha-e-hayāt mirā jagmagā uThā
raushan mohabbatoñ ke sham.a-dān ho ga.e
yādoñ ke zaḳhm aur zamāne kī tohmateñ
ham bekasoñ kī maut ke sāmān ho ga.e
aisī havā chalī ki mirā dil hī bujh gayā
tārīk merī ziist ke aivān ho ga.e
'tanhā' se ab zarā bhī marāsim nahīñ rahe
terī taraf se aaj ye elaan ho ga.e
aqlim-e-aql-o-hosh ke sultan ho gae
KHud ko bhula ke sahib-e-irfan ho gae
kya jaane aks mera wahan kaise aa gaya
wo aaine ko dekh ke hairan ho gae
har gosha-e-hayat mera jagmaga uTha
raushan mohabbaton ke shama-dan ho gae
yaadon ke zaKHm aur zamane ki tohmaten
hum bekason ki maut ke saman ho gae
aisi hawa chali ki mera dil hi bujh gaya
tarik meri zist ke aiwan ho gae
'tanha' se ab zara bhi marasim nahin rahe
teri taraf se aaj ye elan ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.