aqlim-e-dil pe ishq ki farman-rawaiyan
aqlīm-e-dil pe ishq kī farmāñ-ravā.iyāñ
jāñ-baḳhsh qurbateñ kahīñ qātil judā.iyāñ
suulī chaḌhā koī koī ġharqāb ho gayā
kyā kyā vafā se hotī rahīñ bevafā.iyāñ
luTtī hai qaid-e-zulf meñ kyā kyā bahār-e-husn
tah meñ asīrīyoñ kī haiñ kyā kyā rihā.iyāñ
zāt-e-bashar hazār girohoñ meñ baT ga.ī
gumrāh aur kar ga.iiñ kuchh rah-numā.iyāñ
nādāriyoñ meñ sabr kī ne.amat se the ġhanī
daulat baḌhī to baḌh ga.iiñ be-e.atinā.iyāñ
be-pardagī se uḌ gayā sharm-o-hayā kā rañg
chehre pe uḌ rahī haiñ hayā ke havā.iyāñ
ausāf dekhnā hoñ to auroñ ke dekh 'shād'
ojhal haiñ terī aañkh se terī burā.iyāñ
aqlim-e-dil pe ishq ki farman-rawaiyan
jaan-baKHsh qurbaten kahin qatil judaiyan
suli chaDha koi koi gharqab ho gaya
kya kya wafa se hoti rahin bewafaiyan
luTti hai qaid-e-zulf mein kya kya bahaar-e-husn
tah mein asiriyon ki hain kya kya rihaiyan
zat-e-bashar hazar girohon mein baT gai
gumrah aur kar gain kuchh rah-numaiyan
nadariyon mein sabr ki neamat se the ghani
daulat baDhi to baDh gain be-eatinaiyan
be-pardagi se uD gaya sharm-o-haya ka rang
chehre pe uD rahi hain haya ke hawaiyan
ausaf dekhna hon to auron ke dekh 'shad'
ojhal hain teri aankh se teri buraiyan
- Book : R oodad-e-Watan (Pg. 226)
- Author : Shaad Bilgavi
- Publication : Shaad Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.