are aaftab teri qasam tera husn paya hai chand ne
are āftāb tirī qasam tirā husn paayā hai chāñd ne
baḌī duur se baḌī der tak tujhe ḳhuub dekhā hai chāñd ne
jo bhaTak sake na idhar udhar jo madār se nahīñ haT sake
tū zamīn hai jise zāviyoñ meñ jakaḌ ke rakkhā hai chāñd ne
mirā vahm hī ho bhale magar mujhe ab bhī lagtā hai dostā
sabhī āb-o-tāb ko chhoḌ kar kisī din dhḌaknā hai chāñd ne
vo jo raaz tū ne kahā thā chāñdnī shab meñ chāñd se ek din
tirā raaz raaz rahā nahīñ mujhe sab batāyā hai chāñd ne
vo jo ik sitārā girā thā dāman-e-'arsh se baḌī der qabl
mirī aañkh meñ thā rukā huā use ghar bulāyā hai chāñd ne
are aaftab teri qasam tera husn paya hai chand ne
baDi dur se baDi der tak tujhe KHub dekha hai chand ne
jo bhaTak sake na idhar udhar jo madar se nahin haT sake
tu zamin hai jise zawiyon mein jakaD ke rakkha hai chand ne
mera wahm hi ho bhale magar mujhe ab bhi lagta hai dosta
sabhi aab-o-tab ko chhoD kar kisi din dhDakna hai chand ne
wo jo raaz tu ne kaha tha chandni shab mein chand se ek din
tera raaz raaz raha nahin mujhe sab bataya hai chand ne
wo jo ek sitara gira tha daman-e-'arsh se baDi der qabl
meri aankh mein tha ruka hua use ghar bulaya hai chand ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.