are tauba uzr-e-jafa karun kabhi zarf aisa mera nahin
are tauba uzr-e-jafa karun kabhi zarf aisa mera nahin
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
are tauba uzr-e-jafā karūñ kabhī zarf aisā mirā nahīñ
vo miTā deñ chāhe abhī mujhe koī shikva gila nahīñ
tū uThā de parda to dekh luuñ kise hosh hai tujhe dekh kar
abhī har nigāh hai mudda.ī koī parda jabki uThā nahīñ
maiñ samajh gayā jo hai ka.aba meñ mujhe ittifāq hai dair se
maiñ fareb-e-jalva na khā.ūñgā koī aur tere sivā nahīñ
mujhe zauq-e-uzr-e-sitam sahī magar us kā itnā malāl kyoñ
jo gila bhī hai vo hai aap se kisī ġhair se to gila nahīñ
vo burī kaTe mirī zindagī mujhe fikr us kī nahīñ 'shafī.a'
vo bigaḌ ke merā kareñge kyā koī but ye mere ḳhudā nahīñ
are tauba uzr-e-jafa karun kabhi zarf aisa mera nahin
wo miTa den chahe abhi mujhe koi shikwa gila nahin
tu uTha de parda to dekh lun kise hosh hai tujhe dekh kar
abhi har nigah hai muddai koi parda jabki uTha nahin
main samajh gaya jo hai kaba mein mujhe ittifaq hai dair se
main fareb-e-jalwa na khaunga koi aur tere siwa nahin
mujhe zauq-e-uzr-e-sitam sahi magar us ka itna malal kyon
jo gila bhi hai wo hai aap se kisi ghair se to gila nahin
wo buri kaTe meri zindagi mujhe fikr us ki nahin 'shafia'
wo bigaD ke mera karenge kya koi but ye mere KHuda nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.