arman nikal jaen arman-bhare dil ke
armān nikal jaa.eñ armān-bhare dil ke
hāsil hoñ maze phir se saaqī tirī mahfil ke
mañjdhār meñ jākar bhī ham Duub nahīñ sakte
tūfān meñ ḳhush hoñge maare hue sāhil ke
vo naza.a ke vaqt aa.e lab hil na sake apne
afsos rahe dil meñ armān the jo dil ke
ġhairoñ ko bhare sāġhar ham qatre ko bhī tarseñ
andāz nirāle haiñ saaqī tirī mahfil ke
kahte haiñ bahār aa.ī kyā ḳhaak bahār aa.ī
naqshe haiñ vahī ab bhī afsurdagi-e-dil ke
ab qurbat-e-sāhil kā armān nahīñ baaqī
vo lutf liye dil ne kuchh dūrī-e-sāhil ke
jalvat meñ jise aa.e ḳhalvat kā maza 'sāhir'
andāz use bhā.eñ kyā garmi-e-mahfil ke
arman nikal jaen arman-bhare dil ke
hasil hon maze phir se saqi teri mahfil ke
manjdhaar mein jakar bhi hum Dub nahin sakte
tufan mein KHush honge mare hue sahil ke
wo naza ke waqt aae lab hil na sake apne
afsos rahe dil mein arman the jo dil ke
ghairon ko bhare saghar hum qatre ko bhi tarsen
andaz nirale hain saqi teri mahfil ke
kahte hain bahaar aai kya KHak bahaar aai
naqshe hain wahi ab bhi afsurdagi-e-dil ke
ab qurbat-e-sahil ka arman nahin baqi
wo lutf liye dil ne kuchh duri-e-sahil ke
jalwat mein jise aae KHalwat ka maza 'sahir'
andaz use bhaen kya garmi-e-mahfil ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.