arsa daraaz jis se mera dil laga raha
arsa darāz jis se mirā dil lagā rahā
vo bevafā sā shaḳhs thā vo bevafā rahā
nekī vo kaunsī thī ki jis kī jazā milī
tasvīr terī dekh ke maiñ sochtā rahā
shāyad badal gayā ho vo ab kī ḳhabar nahīñ
jab tak hamāre saath thā achchhā bhalā rahā
muddat ke baad aaj vo phir yaad aa.ī hai
muḳhlis thī yā nahīñ thī magar dil lagā rahā
tujh se judā hue to adhūre se ham rahe
ḳhushiyāñ to har taraf thiiñ magar dil dukhā rahā
yuuñ to kisī pe rāz-e-mohabbat ayaañ nahīñ
par niiñd meñ maiñ naam tirā boltā rahā
vaa.iz se yuuñ ḳhudā ne kī āġhāz guftugū
sunte haiñ tū jahāñ meñ baḌā pārsā rahā
baiThe rahe vo 'shān' raqīboñ kī bazm meñ
vaañ par charāġh aur yahāñ dil jalā rahā
arsa daraaz jis se mera dil laga raha
wo bewafa sa shaKHs tha wo bewafa raha
neki wo kaunsi thi ki jis ki jaza mili
taswir teri dekh ke main sochta raha
shayad badal gaya ho wo ab ki KHabar nahin
jab tak hamare sath tha achchha bhala raha
muddat ke baad aaj wo phir yaad aai hai
muKHlis thi ya nahin thi magar dil laga raha
tujh se juda hue to adhure se hum rahe
KHushiyan to har taraf thin magar dil dukha raha
yun to kisi pe raaz-e-mohabbat ayan nahin
par nind mein main nam tera bolta raha
waiz se yun KHuda ne ki aaghaz guftugu
sunte hain tu jahan mein baDa parsa raha
baiThe rahe wo 'shan' raqibon ki bazm mein
wan par charagh aur yahan dil jala raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.