aruz-e-agahi hai aur main hun
arūz-e-āgahī hai aur maiñ huuñ
bas ik dīvāngī hai aur maiñ huuñ
ġham-e-shā.istagī hai aur maiñ huuñ
kabīda-ḳhātirī hai aur maiñ huuñ
junūn-e-rahbarī hai aur tum ho
nashāt-e-gumrahī hai aur maiñ huuñ
ba-zāhir log mere ham-navā haiñ
ba-bātin bad-zanī hai aur maiñ huuñ
'ziyā' ye bhī ajab duniyā hai jis meñ
fareb-e-dil-dahī hai aur maiñ huuñ
aruz-e-agahi hai aur main hun
bas ek diwangi hai aur main hun
gham-e-shaistagi hai aur main hun
kabida-KHatiri hai aur main hun
junun-e-rahbari hai aur tum ho
nashat-e-gumrahi hai aur main hun
ba-zahir log mere ham-nawa hain
ba-baatin bad-zani hai aur main hun
'ziya' ye bhi ajab duniya hai jis mein
fareb-e-dil-dahi hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.