arz-e-matlab ne kiya aur bhi kuchh KHwar mujhe
arz-e-matlab ne kiyā aur bhī kuchh ḳhvār mujhe
jab bhī milte haiñ sunā dete haiñ do-chār mujhe
shauq kartā hai agar mā.il-e-raftār mujhe
rok letā hai mirā tauq-e-girāñ-bār mujhe
chārāgar kaisī davā chheḌ na bekār mujhe
chhoḌ bhī de mirī hālat pe mire yaar mujhe
dekhtī hai jo mirī nargis-e-bīmār mujhe
yaad rahtā nahīñ apnā koī āzār mujhe
husn-e-ḳhvābīda tirī ḳhvāb-gah-e-nāz meñ aaj
le ke aaya hai mirā tāla-e-bedār mujhe
mohtasib ishq nahīñ aa.ina ye mujrim hai
tū kis ilzām meñ kartā hai giraftār mujhe
nām-e-haq le ke sū-e-manzil-e-maqsad huuñ ravāñ
na to vahshat hai na ḳhauf-e-rasan-o-dār mujhe
shab ga.ī aa.ī sahar shor-e-azāñ hai 'āġhā'
phir kiyā nāra-e-takbīr ne bedār mujhe
arz-e-matlab ne kiya aur bhi kuchh KHwar mujhe
jab bhi milte hain suna dete hain do-chaar mujhe
shauq karta hai agar mail-e-raftar mujhe
rok leta hai mera tauq-e-giran-bar mujhe
chaaragar kaisi dawa chheD na bekar mujhe
chhoD bhi de meri haalat pe mere yar mujhe
dekhti hai jo meri nargis-e-bimar mujhe
yaad rahta nahin apna koi aazar mujhe
husn-e-KHwabida teri KHwab-gah-e-naz mein aaj
le ke aaya hai mera tala-e-bedar mujhe
mohtasib ishq nahin aaina ye mujrim hai
tu kis ilzam mein karta hai giraftar mujhe
nam-e-haq le ke su-e-manzil-e-maqsad hun rawan
na to wahshat hai na KHauf-e-rasan-o-dar mujhe
shab gai aai sahar shor-e-azan hai 'agha'
phir kiya nara-e-takbir ne bedar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.